jiinā hai to jiine kī pahlī sī adā māñgo
fir.aun se Takrāo muusā se asā māñgo
har raah meñ ḳhud chhoḌo qadmoñ ke nishāñ apne
tauhīn hai ġhairoñ se naqsh-e-kaf-e-pā māñgo
māñgūñgā bahut kuchh maiñ sochā to ye thā lekin
lab ho ga.e patthar ke jab us ne kahā māñgo
rāzī-ba-razā rahnā hai sheva-e-ahl-e-dil
māñgo to bahar-sūrat marzi-e-ḳhudā māñgo
dar par kabhī ġhairoñ ke jo tum ko na jhukne de
taufīq-e-ilāhī se kuchh aisī anā māñgo
kis haal meñ rakkhā hai dekheñ to hameñ dil meñ
is sho.ala-e-rañgīñ se ā.īna zarā māñgo
mastī meñ 'tufail' us ne mujh ko ye duā dī thī
allāh kare puurī tum jo bhī duā māñgo