Tufail Ahmad Madni

muskuraega magar baat nahin manega

Tufail Ahmad Madni

muskurā.egā magar baat nahīñ mānegā
dekh lo kar ke mulāqāt nahīñ mānegā
aap se māñgegā har shai kī dalīl-e-mohkam
ye fasāne ye rivāyāt nahīñ mānegā
qaul de degā to jaañ de ke nibhā.egā use
chāhe kaise bhī hoñ hālāt nahīñ mānegā
pesh karne meñ jise jazba-e-iḳhlās na ho
aise tohfe ko vo sauġhāt nahīñ mānegā
abr sahrā pe barastā hai to barse jam kar
chand būñdoñ ko vo barsāt nahīñ mānegā
yuuñ to ikrām karegā vo sabhī kā lekin
sab ko minjumla-e-sādāt nahīñ mānegā
us se rūdād-e-ġham-e-dil maiñ kahūñ kaise 'tufail'
jab yaqīñ hai ki vo bad-zāt nahīñ mānegā
Top Urdushayar.com