tā.ir-e-ḳhush-rañg ko be-bāl-o-par dekhegā kaun
us ko ḳhud apne lahū meñ tar-ba-tar dekhegā kaun
aaj to har shaḳhs hai saa.e se tere shād-kām
ḳhushk hone par tujhe kal ai shajar dekhegā kaun
ye to sach hai kuchh jazīre haiñ udhar behad hasīñ
un ko lekin bahr-e-ḳhūñ meñ pair kar dekhegā kaun
toḌ kar āḳhir havas kā ye tilism-e-zar-nigār
ahd-e-nau kā izdahā-e-haft-paikar dekhegā kaun
ai fasīl-e-shahr-e-jānāñ ik zarā tū hī batā
maiñ yahāñ par jaan to de duuñ magar dekhegā kaun
ho ga.ī bīnā.ī to sab us kī dīvāroñ meñ jazb
un ke ghar ko dekh kar ab apnā ghar dekhegā kaun
kuchh tamāshā.ī bhī lāzim haiñ sar-e-maqtal 'tufail'
vo nahīñ hoñge to qātil kā hunar dekhegā kaun