Shuja Khaavar

haalat use dil ki na dikhai na zaban ki

Shuja Khaavar

Delhi, India

1948-2012
hālat use dil kī na dikhā.ī na zabāñ kī
ḳhair us ne na kī baat to ham ne bhī kahāñ kī
pahle to hañsā zor se phir āh-o-fuġhāñ kī
mastī meñ qalandar ne baḌī duur kī haañ kī
allāh kā banda koī ghar se nahīñ niklā
tafsīr sabhī karte rahe kaun-o-makāñ kī
ek us kā sarāpā hai ki bas meñ nahīñ aatā
kyā ho ga.ī hālat mire andāz-e-bayāñ kī
ek ek sitamgar ko tasavvur meñ bulā kar
shamshīr-e-zabāñ ham ne bhī kal ḳhuub ravāñ kī
tūfān-e-ma.ānī mire har lafz ke pīchhe
tezī hai har ik sher meñ dillī kī zabāñ kī
sahrā-e-adam kā bhī 'shujā' ḳhuub maza hai
tum sochte rahte ho faqat gulshan-e-jāñ kī
Top Urdushayar.com