Ashfaq Rasheed Mansuri

apni ghazlon ko risalon se alag rakhta hun

Ashfaq Rasheed Mansuri

apnī ġhazloñ ko risāloñ se alag rakhtā huuñ
yaanī ye phuul kitāboñ se alag rakhtā huuñ
haañ buzurgoñ se aqīdat to mujhe hai lekin
mushkileñ apnī mazāroñ se alag rakhtā huuñ
manzileñ aa ke mere paañv meñ gir jaatī haiñ
hausla jab maiñ thakānoñ se alag rakhtā huuñ
un kī aamad kā pata detī hai ḳhushbū un kī
us ghaḌī ḳhud ko jahānoñ se alag rakhtā huuñ
hosh vaale mujhe apnoñ meñ ginā karte haiñ
maiñ kahāñ ḳhud ko dīvānoñ se alag rakhtā huuñ
mujh ko achchhā nahīñ lagtā ye umīdeñ TūTeñ
is liye tiir kamānoñ se alag rakhtā huuñ
Top Urdushayar.com