Farhat Ali Khan

na sare aib hain aib aur hunar hunar bhi nahin

Farhat Ali Khan

Moradabad, Uttar pradesh, India

1986
na saare aib haiñ aib aur hunar hunar bhī nahīñ
kuchh ehtiyāt to kiije par is qadar bhī nahīñ
tumhāre hijr meñ bāñdhā hai vo samāñ ham ne
ki aañkh ham se milātā hai nauhagar bhī nahīñ
nahīñ zarā bhī to us ne nahīñ milāyā ruḳh
maiñ us ko dekh rahā thā ye jaan kar bhī nahīñ
ye ham ne bhuul kī aa pahuñche un kī mahfil meñ
par un se arz-e-tamannā to bhuul kar bhī nahīñ
koī to rañg bikheregī zindagī kī ye dhuup
agar tavīl nahīñ hai to muḳhtasar bhī nahīñ
bhalā maiñ kaise ise dost maan luuñ 'farhat'
jo ahl-e-zulm nahīñ aur chāragar bhī nahīñ
Top Urdushayar.com