Shuja Khaavar

ab tere liye hain na zamane ke liye hain

Shuja Khaavar

Delhi, India

1948-2012
ab tere liye haiñ na zamāne ke liye haiñ
ham gosha-e-tanhā.ī sajāne ke liye haiñ
matlab mirī tahrīr kā alfāz se mat pūchh
alfāz to mafhūm chhupāne ke liye haiñ
haañ tere taġhāful se pareshān haiñ ham bhī
ye tanz ke tevar to dikhāne ke liye haiñ
tum sāmne ho phir bhī chale aa.e zabāñ par
vo giit jo tanhā.ī meñ gaane ke liye haiñ
ḳhat vāqa.ī kyā ḳhuub hai ik parda-nashīñ kā
alfāz ibārat ko chhupāne ke liye haiñ
Top Urdushayar.com