chheḌ deñ gar qissa-e-ġham shaam se
ki raheñge sub.h tak ārām se
chāhiye ham ko ki bedārī rahe
āshnā huuñ hashr se anjām se
jo bulātā thā vo shaḳhs ab jā chukā
kaam apnā dekhiye ārām se
pā ga.e ham be-gunāhī kī sazā
bach ga.e sau baar ke ilzām se
kaT rahī hai zindagī ab dasht meñ
ham ko kyā matlab rahā hukkām se
kyā ḳhabar tujh ko ki kitnā ro.e ham
chhūT kar sayyād tere daam se
bazm meñ 'farhat' baḌe nāshād the
muñh pe raunaq aa ga.ī ik naam se