baaz dil yaad se un kī na zarā-bhar aayā
vo na aayā to ḳhayāl un kā barābar aayā
sāqiyā dard-bharā hī rahā paimāna-e-chashm
so tirī baat pe chhalkā jo zarā-bhar aayā
aah vo shiddat-e-ġham hai ki mirī āñkhoñ se
būñd-do-būñd nahīñ ek samundar aayā
jis se bachne ke liye band kiiñ āñkheñ ham ne
band āñkhoñ pe bhī aage vahī manzar aayā
ye jo sahrā meñ phirā kartā hai dīvāna sā
ḳhud ko duniyā ke jhameloñ se chhuḌā kar aayā
dil ko shiddat se tamannā thī tire kūche kī
so baḌe shauq se us ko maiñ vahāñ dhar aayā