aap ko ujlā dikhe kaalā dikhe
sach to sach hai chāhe vo jaisā dikhe
zulf-e-jānāñ dīda-e-nam dard-e-dil
in se bāhar aa.eñ to duniyā dikhe
aañkh ke andhe ko phir bhī aql hai
aql ke andhe ko sab ulTā dikhe
mujh ko apne-āp sā lagtā hai vo
raah chalte jab koī rotā dikhe
huuñ pashemāñ maiñ gunahgār apnā muñh
pher letā huuñ jo ā.īna dikhe
ḳhuub hai duniyā kī ye jādūgarī
vo nahīñ hotā hai jo hotā dikhe