dil ko ma.amūr karo jazb-o-asar se pahle
naqsh-e-manzil chamak uTTheñge safar se pahle
lamha-e-fikr se saaqī kī muravvat ke liye
bazm-e-rindāñ meñ chale jaam kidhar se pahle
garmi-e-ishq ne baḳhshā hai ye aalam varna
husn bedār na thā merī nazar se pahle
rif.ateñ kaun-o-makāñ kī bhī simaT aatī haiñ
kis ko ma.alūm thā ye sajda-e-dar se pahle
dāman-e-mizhgāñ ke shab-tāb sitāroñ kī qasam
ik hasīñ sub.h kā aalam thā sahar se pahle
lab bhī betāb haiñ iz.hār-e-haqīqat ke liye
dāstāñ sun lo magar dīda-e-tar se pahle
kahkashāñ-sāz kiyā qadmoñ ko maiñ ne varna
kaun vāqif thā tirī rāhguzar se pahle
lazzat dard farishtoñ ko 'razā' kyā ma.alūm
na huā ishq kā āzār bashar se pahle