kaif nasīb ab kahāñ ġhunchoñ ke bhī jamāl meñ
kis ne ye rañg bhar diyā sādgī-e-ḳhayāl meñ
qatra-e-shabnam-e-hayā ġhuncha-o-gul araq araq
kyā kyā simaT ke aa gayā dāman-e-infi.āl meñ
jur.at-e-iztirāb-e-dil tū ne batā ye kyā kiyā
un kī bhī baat aa ga.ī koshish-e-arz-e-hāl meñ
kaisī hadīsh-e-rañg-o-bū zikr-e-jamāl-o-nūr kyā
husn hī jab na aa sakā dā.ira-e-ḳhyāl meñ
ishq hī ḳhud hai ik jahāñ rasm-e-quyūd se alag
ishq sī koī shai nahīñ dāman-e-māh-o-sāl meñ
nashtar-e-ġham se kam nahīñ merī asar-pazīriyāñ
der lagegī ab zarā zaḳhm ke indimāl meñ
jān-e-hazīñ nahīñ faqat mahv-e-fuġhān-e-ārzū
rauñdā huā sā dil bhī hai hasrat-e-pā.emāl meñ
hijr-o-visāl-o-ranj-o-ġham hasrat-o-yās-o-ārzū
har shai ubhar ke aa ga.ī mub.ham se ik savāl meñ