kuchh to hāsil ho gayā irfān-e-mai-ḳhāna mujhe
aaj paimāne ko maiñ taktā huuñ paimāna mujhe
daar par naġhmoñ kā chhā jaanā koī āsāñ nahīñ
saaz kyā kam thā jo baḳhshā soz-e-parvāna mujhe
joḌ Daale kitne sāġhar kitne miinā kitne dil
ik zarā jo mil ga.ī thī ḳhāk-e-mai-ḳhāna mujhe
zindagī apnī haqīqat hī haqīqat thī magar
aaj duniyā ne banā Daalā hai afsāna mujhe
rishta-e-derīna-e-vahshat na TuuTā aaj tak
yaad vīrāne ko maiñ kartā huuñ vīrāna mujhe
sub.h-e-ka.aba shām-e-but-ḳhāna kī hai mujh ko talāsh
DhūñDhtī hai sub.h-e-ka.aba shām-e-but-ḳhāna mujhe