tujhe ai zāhid-badnām samjhānā bhī aatā hai
kahīñ bātoñ meñ terī rind-e-mai-ḳhāna bhī aatā hai
matānat-āfrīñ nazreñ karam-gustar saf-e-mizhgāñ
sitam Dhāne ko uTThe ho sitam Dhānā bhī aatā hai
unhīñ nāzuk laboñ ko fursat-e-ātish-bayānī bhī
unhīñ nāzuk laboñ ko phuul barsānā bhī aatā hai
kaho bāda-kasho kyā haal hai faizān-e-sāqī kā
kabhī mahfil meñ daur-e-jām-o-paimāna bhī aatā hai
nahīñ mahdūd ehsās-e-tapish sham-e-farozāñ tak
balā kā soz le kar dil meñ parvāna bhī aatā hai
fanā kā dars detī haiñ rah-e-ulfat meñ jo maujeñ
unhīñ ke pech-o-ḳham se dil ko bahlānā bhī aatā hai
unhīñ ashkoñ meñ ehsās-e-alam kā sail-e-be-pāyāñ
sar-e-mizhgāñ unhīñ ashkoñ ko tharrānā bhī aatā hai
tumhīñ ne lab ko baḳhshī hai matā-e-ḳhāmushī varna
zabāñ se qissa-hā-e-shauq dohrānā bhī aatā hai