jhuk sake aap kā ye sar to jhukā kar dekheñ
raah meñ dil hai ki patthar hai uThā kar dekheñ
ye bhī ik shart hai takmīl-e-hikāyat ke liye
hāl-o-mustaqbil-o-māzī ko milā kar dekheñ
aabrū husn kī ho jaa.e na pāmāl-e-nazar
dekhnā ho to uTheñ ḳhud se chhupā kar dekheñ
ġhairat-e-zuhra-vshāñ rashk-e-qamar haiñ ki nahīñ
aao in ḳhaak ke zarroñ ko uThā kar dekheñ
ab nahīñ milne ke duniyā meñ vo ḳhāsān-e-junūñ
laakh ham ahl-e-ḳhirad sham.a jalā kar dekheñ
un hijāboñ ko jo mānūs-e-azal haiñ ab tak
aao fitrat kī nigāhoñ meñ samā kar dekheñ
ḳhud hī khul jā.egā arbāb-e-gulistāñ kā bharam
chheḌ kar gul ko to ġhunchoñ ko hañsā kar dekheñ
zindagī dard sarāpā hī nahīñ pyaar bhī hai
aao is pyaar ko naġhmoñ meñ sajā kar dekheñ
kyā atā hotī hai kyā ajr-o-sila miltā hai
ai 'razā' dast-e-talab ham bhī baḌhā kar dekheñ