bedār ho ga.e haiñ jo ḳhvāb-e-girāñ se ham
aage nikal ga.e haiñ zabān-o-makāñ se ham
lag jā.egī Thikāne kabhī ḳhāk-e-zindagī
lipTe raheñge gard-e-pas-e-kārvāñ se ham
manzil bhī thī nigāh meñ gard-o-gubār-e-rāh
le kar chale jo izn-e-safar kahkashāñ se ham
us sañg-e-āstāñ pe jhukā kar jabīn-e-shauq
lo be-niyāz ho ga.e donoñ-jahāñ se ham
maanā nahīñ hai yuuñ hī hamāre vajūd ko
Takrā.e haiñ zamīñ se kabhī āsmāñ se ham
āġhāz-o-intihā kī haqīqat se be-ḳhabar
sharh-e-hayāt karte rahe darmiyāñ se ham
kyā pūchhte ho gardish-e-taqdīr-e-kārvāñ
pahuñche vahīñ pe aa ke chale the jahāñ se ham
sajde hī yaad haiñ na tire sañg-e-dar kā hosh
sar bhī jhukā ke duur rahe āstāñ se ham
kuchh bhī na thā 'razā' vo ba-juz dūd-e-āh-e-shauq
ta.abīr jis ko karte rahe āsmāñ se ham