us ko na ḳhayāl aa.e to ham muñh se kaheñ kyā
vo bhī to mile ham se hamīñ us se mileñ kyā
lashkar ko bachā.eñgī ye do-chār safeñ kyā
aur un meñ bhī har shaḳhs ye kahtā hai hameñ kyā
ye to sabhī kahte haiñ koī fikr na karnā
ye koī batātā nahīñ ham ko ki kareñ kyā
ghar se to chale aate haiñ bāzār kī jānib
bāzār meñ ye sochte phirte haiñ ki leñ kyā
āñkhoñ ko kiye band paḌe rahte haiñ ham log
is par bhī to ḳhvāboñ se haiñ mahrūm kareñ kyā
do chaar nahīñ saiñkaḌoñ sher us pe kahe haiñ
is par bhī vo samjhe na to qadmoñ pe jhukeñ kyā
jismānī ta.alluq pe ye sharmindagī kaisī
aapas meñ badan kuchh bhī kareñ is se hameñ kyā
ḳhvāboñ se bhī milte nahīñ hālāt ke Dar se
māthe se baḌī ho ga.iiñ yaaro shikaneñ kyā