kyā pūchhte ho mujh ko mohabbat meñ kyā milā
donoñ-jahāñ kā dard ba-nām-e-ḳhudā milā
shāyad yahī hai hāsil-e-pāyān-e-ārzū
apnā pata nahīñ hai jo un kā patā milā
afsāna-e-hayāt kī takmīl ho ga.ī
jab un ke silsile se mirā silsila milā
jab se nahīñ vo naġhma-zan-e-sāz-e-zindagī
ik ek taar dil kā mujhe be-sadā milā
tum kyā mile mizha ke ziyā-bār kū-ba-kū
parde meñ shab ke sub.h kā rū-e-safā milā
har aarzū kī ek vahī jān-e-ārzū
har mudda.ā kā ek vahī mudda.ā milā
vaj.h-e-davām fitrat-e-ġham hī nahīñ faqat
dil bhī azal-tarāz abad-āshnā milā
kaisī bahār mauja-e-kaif-o-nishāt kyā
pahlu-e-gul na dāman-e-bād-e-sabā milā
jannat chamak chamak uThī rañg-o-jamāl kī
kis gul kī aarzū kā sharaf ai 'razā' milā