ye baat tirī chashm-e-fusūñ-kār hī samjhe
sahrā bhī nazar aa.e to gulzār hī samjhe
ik baat jise sun ke hayā aa.e chaman ko
ik baat jise nargis-e-bīmār hī samjhe
is tarah dukāñ dil kī sajā.ūñ ki zamāna
dekhe to use misr kā bāzār hī samjhe
kyā shām-o-sahar us kī hai kyā us ke shab-o-roz
duniyā ko bhī jo kākul-o-ruḳhsār hī samjhe
kahtā hī rahā dil ki ye sahrā-e-junūñ hai
ham the ki use sāya-e-dīvār hī samjhe
vo bhī to chaman zaad the jo shāḳh-e-chaman ko
gardan pe laTaktī huī talvār hī samjhe
har chand thā dāman meñ liye vus.at-e-kaunain
is dil ko magar nuqta-e-parkār hī samjhe
zāhid ko bhalā kab thī yahāñ fursat-e-tafhīm
rahmat ko tirī tere gunahgār hī samjhe
vo haal 'razā' tum ne banā rakkhā hai dil kā
dekhe jo koī ishq kā āzār hī samjhe