Raza Jaunpuri

phir rah dikha mujhko ai mashrab-e-rindana

Raza Jaunpuri

phir raah dikhā mujh ko ai mashrab-e-rindāna
kuchh bahs nahīñ is se ka.aba hai ki but-ḳhāna
ḳham hai na subūhī hai shīsha hai na paimāna
kyā jaane kahāñ ġham hai tābānī-e-mai-ḳhāna
is tarah bhī hotī hai tash.hīr-e-vafā aksar
phirtī hai sabā le kar ḳhākistar-e-parvāna
kī vus.at-e-sahrā kī qadmoñ ne pazīrā.ī
mujh sā na koī hogā shā.ista-e-vīrāna
har riñd-e-balā-kash par girtī hai sar-e-mahfil
barq-e-nigah-e-sāqī paimāna-ba-paimāna
irfān-e-talab kahiye yā tark-e-talab us ko
manzil kā shanāsā bhī manzil se hai begāna
kuchh ḳhār-e-chaman kā bhī ho zikr chaman-sāzo
ġhunchoñ kā bayāñ tā-kai afsāna-dar-afsāna
farzāngī-e-dil bhī kuchh chāhiye vahshat meñ
dīvāna sar-e-mahfil ban jaa.e na dīvāna
thī sham-e-farozāñ kī tarġhīb-e-jigar-sozī
yā aag meñ ḳhud apnī jal uTThā hai parvāna
asrār do-ālam ke khulte haiñ 'razā' dil par
takvīn-e-azal kā hai mahram dil-e-dīvāna
Top Urdushayar.com