sham.a kī āġhosh ḳhālī kar ke parvāna chalā
aage aage thī haqīqat pīchhe afsāna chalā
kaun dīvāna thā jo hamrāh dīvāna chalā
shakl-e-gard-e-rahguzar kuchh duur vīrāna chalā
halqa-e-sūd-e-ziyāñ se ho ke begāna chalā
be-niyāzāna thā aayā be-niyāzāna chalā
ye bhī ik rasm-e-ta.alluq hai ba-qadr-e-āgahī
baat ka.abe kī jo aa.ī zikr-e-but-ḳhāna chalā
kuchh ishāre kuchh kinā.e kuchh ḳhamoshī kuchh bayān
guftugū kā silsila bhī rāz-dārāna chalā
lan-tarānī kyā burī thī bahar-e-taqrīb-e-suḳhan
kyuuñ na le kar phir koī zauq-e-kalīmāna chalā