jins-e-girāñ kā maiñ huuñ ḳharīdār dosto
āḳhir kahāñ hai misr kā bāzār dosto
shā.ista-e-ḳhatā haiñ mirī be-gunāhiyāñ
nā-karda jurm kā huuñ sazā-vār dosto
un gumrahān-e-jāda-o-manzil kī ḳhair ho
rahbar na koī qāfila sālār dosto
pur-pech zindagī kī vo rāheñ ki al-amāñ
yaad aa gayā hai kākul-e-ḳhamdār dosto
ab tak talāsh kartī hai ta.amīr-e-kā.enāt
bazm-e-junūñ meñ ek thā hoshyār dosto
aayā hayāt-e-ishq kī azmat kā jab ḳhayāl
baḌh kar sadā dī maiñ ne sar-e-dār dosto
khul kar zabāñ se karte haiñ iz.hār-e-dushmanī
behtar haiñ aaj tum se ye aġhyār dosto
manzil to de rahī hai sadā aaj bhī magar
ḳhud ban gayā huuñ raah meñ dīvār dosto