makīñ aur bhī haiñ makāñ aur bhī haiñ
yahī do-jahāñ kyā jahāñ aur bhī haiñ
maqāmāt-e-dair-o-haram se guzar kar
tirī azmatoñ ke nishāñ aur bhī haiñ
kiye jā.iye sa.ī-e-tasḳhīr-e-fitrat
abhī rāz-hā-e-nihāñ aur bhī haiñ
zarā ḳhatm ho kar tauq-o-salāsil
zabāñ par liye dāstāñ aur bhī haiñ
miTā do mirā naqsh-e-hastī nahīñ ġham
mirī zindagī ke nishāñ aur bhī haiñ
sameT apnā dāman na āġhosh-e-manzil
ki rahrav pas-e-kārvāñ aur bhī haiñ
nahīñ sirf zāhid hī jalvoñ kā mahram
tire husn ke rāzdāñ aur bhī haiñ