ai kaash ho barsāt zarā aur zarā aur
baḌh jaa.e mulāqāt zarā aur zarā aur
hāthoñ meñ tirā haath ye kaafī to nahīñ hai
mil jaa.eñ ḳhayālāt zarā aur zarā aur
khaltī hai ye tanhā.ī to duurī bhī miTā de
tū maan mirī baat zarā aur zarā aur
bujhtī hai kahāñ pyaas ab āñkhoñ se pilā kar
de pyaar kī sauġhāt zarā aur zarā aur
hālāt huuñ hamvār to kyā fikr hai lekin
mushkil meñ munājāt zarā aur zarā aur
jab pyaar se miltā hai to bhartā hai kahāñ dil
ulfat se bharī raat zarā aur zarā aur