ghar meñ bechainī ho to agle safar kī sochnā
phir safar nākām ho jaa.e to ghar kī sochnā
hijr meñ imkān itne vasl sirf ik vāqi.a
vus.at-e-sahrā meñ kyā dīvār-o-dar kī sochnā
ya.anī ghar aur dasht donoñ lāzim-o-malzūm haiñ
qā.eda ye hai idhar rahnā udhar kī sochnā
is tarah jiinā ki auroñ kā bharam qaa.em rahe
maut bar-haq hai magar us chāra-gar kī sochnā
zindagī bhar zinda rahne kī yahī tarkīb hai
us taraf jaanā nahīñ bilkul jidhar kī sochnā
tum shujā-ḳhāvar ho duniyā-dār aur maiñ jān-dār
maiñ to bas aa.heñ bharūñgā tum asar kī sochnā