Mumtaz Mirza

lai bahaar shauq ke saman nae nae

Mumtaz Mirza

Delhi, India

1929-1997
laa.ī bahār shauq ke sāmāñ na.e na.e
duniyā na.ī na.ī sī dil o jaañ na.e na.e
saaqī kī ik nigāh ne baḳhshī hayāt-e-nau
dil meñ machal ga.e mire armāñ na.e na.e
har aan tarz-e-nau se satā.e hai āsmāñ
mere liye sitam ke haiñ unvāñ na.e na.e
barbādiyoñ kā apne nasheman kī ġham nahīñ
tāmīr ho rahe haiñ gulistāñ na.e na.e
fasl-e-bahār aa.ī mubārak ho ai junūñ
dāman na.e na.e haiñ garebāñ na.e na.e
us chashm-e-nīm-bāz kī vo kam-nigāhiyāñ
dil meñ utar ga.e mire paikāñ na.e na.e
masjid meñ bhī fasāna butoñ kā janāb-e-shaiḳh
shāyad hue haiñ aap musalmāñ na.e na.e
'mumtāz' ik charāġh-e-sar-e-rahguzar sahī
hoñge charāġh us se farozāñ na.e na.e
Top Urdushayar.com