parda-e-zehn se saaya sā guzar jaatā hai
jaise pal bhar ko mirā dil bhī Thahar jaatā hai
terī yādoñ ke diye jab bhī jalātā hai ye dil
husn kuchh aur shab-e-ġham kā nikhar jaatā hai
hasrateñ dil kī mujassam nahīñ hone pātīñ
ḳhvāb banñe nahīñ paatā ki bikhar jaatā hai
raat bhīge to ik anjān sā benām sā dard
chāndnī ban ke fazāoñ meñ bikhar jaatā hai
raat kaaTe nahīñ kaTtī hai kisī sūrat se
din to duniyā ke bakheḌoñ meñ guzar jaatā hai
us ko bhī kahte haiñ 'mumtāz' vafā kā naġhma
dil-e-betāb meñ ghuT ghuT ke jo mar jaatā hai