zamāna guzrā hai tūfān-e-ġham uThā.e hue
ġhazal ke parde meñ rūdād-e-dil sunā.e hue
hamīñ the jin se gunāh-e-vafā huā sarzad
khaḌe haiñ daar ke saa.e meñ sar jhukā.e hue
hamāre dil ke sabhī raaz faash karte haiñ
jhukī jhukī sī nazar hoñT kapkapā.e hue
hamāre dil ke andheroñ kā ġham na kar hamdam
hamāre dam se ye raste haiñ jagmagā.e hue
shumār-e-roz-o-shab-o-māh kis ne rakkhā hai
hazāroñ saal hue un ko dil meñ aa.e hue
guzarte rahte haiñ nazroñ se saarī shab 'mumtāz'
hazāroñ qāfile yādoñ ke sar jhukā.e hue