mire nāloñ meñ itnā to asar hai
shab-e-ġham hai magar kuchh muḳhtasar hai
ummīdeñ laa.e the ġham le ke uThe
ye rūdād-e-hayāt-e-muḳhtasar hai
nahīñ hai duur kuchh manzil hamārī
zamāna raah meñ haa.il magar hai
asīroñ ko rihā.ī mil to jaa.e
magar shart-e-shikast-e-bāl-o-par hai
vo rāheñ jin ko suunā kar ga.e vo
unhīñ par aaj tak merī nazar hai
jahāñ tum ho vahāñ haiñ laala o gul
jahāñ ham haiñ vahāñ barq-o-sharar hai
badal Daalā hai jis ne merā aalam
kisī kī ik nigāh-e-muḳhtasar hai
ilāhī ḳhair mere āshiyāñ kī
sabā ke saath phir mauj-e-sharar hai
mah o ḳhurshīd ko samjhā hai manzil
ḳhudāyā kis qadar aajiz bashar hai