ġhamoñ meñ Duubī huī hai har ik ḳhushī merī
ajiib taur se guzrī hai zindagī merī
har ek lamha guzartā hai hādse kī tarah
bas ek dard-e-musalsal hai zindagī merī
ḳhayāl-o-fikr ne kyā kyā sanam tarāshe the
tamām umr parastish meñ kaT ga.ī merī
mirā safīna-e-hastī hai aur mauj-e-balā
tamāshā dekhtī rahtī hai bebasī merī
hujūm-e-dard meñ gum ho ga.ī mirī āvāz
zamāne vāloñ ne rūdād kab sunī merī
mirī hayāt adhūrī rahī tumhāre baġhair
batāo tum ne bhī mahsūs kī kamī merī
ġham-e-hayāt kī rūdād thī magar 'mumtāz'
samajh liyā use logoñ ne shā.irī merī