Mumtaz Mirza

rang kuchh shoKH se taswir mein bhar kar dekho

Mumtaz Mirza

Delhi, India

1929-1997
rañg kuchh shoḳh se tasvīr meñ bhar kar dekho
zindagī shoḳh hai is shoḳh pe mar kar dekho
ek pal ke liye 'mumtāz' Thahar kar dekho
dil kī jānib bhī zarā ek nazar kar dekho
apnī hastī kā sanam toḌo to pāoge najāt
ret ke zarroñ kī mānind bikhar kar dekho
kitnā pyārā hai jahāñ kitnī hasīñ hai ye hayāt
yaas o andoh ke dariyā se guzar kar dekho
lab-e-sāhil pe to 'mumtāz' na mil paayā sukūñ
sail-e-tūfān-e-havādis se guzar kar dekho
Top Urdushayar.com