har dard ke har ġham ke talabgār hamīñ haiñ
is jins-e-girāmī ke ḳharīdār hamīñ haiñ
duniyā meñ jafāoñ ke sazā-vār hamīñ haiñ
'mumtāz' ba-har-hāl gunāhgār hamīñ haiñ
jo ishq meñ guzrī hai so guzrī hai hamīñ par
āvāra-o-rusvā sar-e-bāzār hamīñ haiñ
ab kaun kare roz na.ī un se shikāyat
achchhā chalo taslīm jafā-kār hamīñ haiñ
'mumtāz' jo nāzāñ haiñ bahut tishna-labī par
kah de koī saaqī se vo mai-ḳhvār hamīñ haiñ