tire qarīb bhī dil kuchh bujhā sā rahtā hai
ġham-e-firāq kā khaTkā lagā sā rahtā hai
na jaane kab nigah-e-bāġhbāñ badal jaa.e
har aan phūloñ ko dhaḌkā lagā sā rahtā hai
hazāroñ chāñd sitāre nikal ke Duub ga.e
nagar meñ dil ke sadā jhuTpuTā sā rahtā hai
tumhāre dam se haiñ tanhā.iyāñ bhī bazm-e-nashāt
tumhārī yādoñ kā ik jamghaTā sā rahtā hai
vo ik nigāh ki mafhūm jis ke lākhoñ haiñ
usī nigāh kā ik aasrā sā rahtā hai
tumhāre ishq ne 'mumtāz' kar diyā dil ko
ye sab se mil ke bhī sab se judā sā rahtā hai