Mumtaz Mirza

phul jab koi bikharta hai to hans dete hain

Mumtaz Mirza

Delhi, India

1929-1997
phuul jab koī bikhartā hai to hañs dete haiñ
dard jab had se guzartā hai to hañs dete haiñ
parda-e-zehn pe maazī ke jharokoñ se kabhī
ek chehra sā ubhartā hai to hañs dete haiñ
sub.h tak jalnā pighalnā hai hamārī qismat
rañg-e-shab yuuñ jo nikhartā hai to hañs dete haiñ
āgahī bhūlne detī nahīñ hastī kā ma.aal
TuuT ke ḳhvāb bikhartā hai to hañs dete haiñ
zindagī johd-e-musalsal hai hirāsāñ kyuuñ ho
valvala jab koī martā hai to hañs dete haiñ
Top Urdushayar.com