Mumtaz Mirza

haal na puchho roz-o-shab ka koi anokhi baat nahin

Mumtaz Mirza

Delhi, India

1929-1997
haal na pūchho roz-o-shab kā koī anokhī baat nahīñ
din ko kaise raat kaheñ ham raat bhī ab to raat nahīñ
lagne ko to sehn-e-chaman meñ donoñ achchhe lagte haiñ
kāñToñ meñ jo apnā-pan hai phūloñ meñ vo baat nahīñ
dil se bhulā to deñ ham un ko lekin is ko kyā kiije
sadiyoñ kī rūdād bhulānā apne bas kī baat nahīñ
gulshan gulshan shāḳh o shajar par roz nasheman jalte haiñ
kis ne kahā thā mausam badlā agle se hālāt nahīñ
ek zarā sī baat pe kyuuñ hai itnā hañgāma 'mumtāz'
shīsha-e-dil hī to TuuTā hai aur to koī baat nahīñ
Top Urdushayar.com