be-tarah aap kī yādoñ ne satāyā hai mujhe
chāndnī rātoñ ne aa aa ke rulāyā hai mujhe
aap se koī shikāyat na zamāne se gila
mere hālāt ne majbūr banāyā hai mujhe
aaj phir auj pe hai apnā muqaddar shāyad
aaj phir aap ne nazroñ se girāyā hai mujhe
apne begāne hue aur zamāna dushman
be-dimāġhī ne mirī din ye dikhāyā hai mujhe
kaun se dasht meñ le aayā mujhe merā junūñ
muḌ ke dekhā hai to kuchh ḳhauf sā aayā hai mujhe
phir hue aaj baham jām-e-gul o naġhma-e-shab
phir mire maazī ne 'mumtāz' bulāyā hai mujhe