dil iḳhtiyār meñ hai na jaañ iḳhtiyār meñ
saaqī ne kyā milā diyā kaif-e-bahār meñ
the chaar din jo zindagī-e-musta.ār meñ
do aarzū meñ kaT ga.e do intizār meñ
saaqī kī ik nazar bhī agar ham pe paḌ ga.ī
tauba kā ḳhuun kar ke raheñge bahār meñ
is but se kar ke zikr-e-vafā haa.e kyā kiyā
ik pech Daal dī dil-e-be-e'tibār meñ
thī kis kī yaad aaj jo taḌpā ga.ī hameñ
ik huuk uTh rahī hai dil-e-be-qarār meñ
āġhosh-e-chashm ko sabad-e-gul banā diyā
ġhunche jo khilkhilā.e hujūm-e-bahār meñ
ye bhī adā-e-nāz thī vo bhī adā-e-nāz
machleñ jo shoḳhiyāñ nigah-e-sharm-sār meñ
rote mujhe jo dekhā to kuchh aur khiñch ga.e
ulTā fusūñ thā girya-e-be-iḳhtiyār meñ
hasrat ke āñsuoñ meñ tamannā kā ḳhuun hai
paanī meñ aag hai ki hai shabnam sharār meñ
parvāna said-e-nūr to bulbul asīr-e-rañg
kis kī adā samā ga.ī gul meñ sharār meñ