Muzaffar Shikoh

yaad ayyame ki dil rakhte the jaan rakhte the hum

Muzaffar Shikoh

yaad ayyāme ki dil rakhte the jaañ rakhte the ham
shikva-sanjī ke liye muñh meñ zabāñ rakhte the ham
sāz-e-ġham rakhte the ham soz-e-nihāñ rakhte the ham
sar meñ saudā dil meñ nashtar sā nihāñ rakhte the ham
gard-bād āsāz meñ bar āsmāñ rakhte the ham
apne qadmoñ ke tale saarā jahāñ rakhte the ham
hasrat-e-āshuftagī shauq-e-ziyāñ rakhte the ham
rauzan-e-ummīd-o-bīm-e-pāsbāñ rakhte the ham
fursat-e-be-sūd sa.ī-e-rā.igāñ rakhte the ham
thā duāoñ se pare vo āstāñ rakhte the ham
parda-e-jāñ meñ nigār-e-dil-sitāñ rakhte the ham
gulshan-e-dil meñ bahār-e-be-ḳhizāñ rakhte the ham
kunj-e-uzlat meñ sarishk-e-ḳhūñ ravāñ rakhte the ham
rāz-dāroñ se bhī ik rāz-e-nihāñ rakhte the ham
shab hama shab khelte the halqa-hā-e-zulf se
dīda-e-ġhammāz ko ham dāstāñ rakhte the ham
Thes pahuñchāte the pindār-e-ḳhudī ko rāt-din
phir bhī dil kī ārzūoñ ko javāñ rakhte the ham
ab na vo dil hai na vo saudā na vo tuġhyān-e-shauq
yaad ayyāme ki dil vaqf-e-fuġhāñ rakhte the ham
Top Urdushayar.com