haath kī jumbish se mai chhalkī paimāne badnām hue
ḳhud pī pī kar duniyā bahkī maiḳhāne badnām hue
kūcha-e-ulfat meñ jo aayā kho ke numūd-o-nām gayā
dīvāne dīvāne Thahre farzāne badnām hue
hosh-o-ḳhirad ke charchoñ meñ likkhe kā bharam bhī qaa.em thā
dīda-o-dil kī bātoñ meñ ab afsāne badnām hue
shab biite jab sham-e-farozāñ kī zau-kārī ḳhatm huī
ḳhaak ke dhabboñ se shīshe par parvāne badnām hue
kuchh har bad-zan kuchh vo bad-zan doshī ab kis ko Thahrā.eñ
ulTī-sīdhī baat kī pach par yārāne badnām hue
bādiya-gardī ābla-pā.ī qismat thī dīvānoñ kī
kis baa.is ai vahshat-e-dil phir vīrāne badnām hue
daur nashīlī āñkhoñ kā to roke se bhī ruk na sakā
lekin chashm-e-kaif-āgīñ ke mastāne badnām hue