Muzaffar Shikoh

jo dam mein dam hai to saqi ki justuju hi sahi

Muzaffar Shikoh

jo dam meñ dam hai to saaqī kī justujū hī sahī
nahīñ sharāb to saudā-e-ārzū hī sahī
jo bāñdhnā hai tasavvur hī apnī āñkhoñ meñ
to phir piyāla-o-sāġhar hī kyuuñ subū hī sahī
salāt-e-shar.a nahīñ jis kā ehtimām kareñ
namāz-e-ishq hai ai dil to be-vuzū hī sahī
junūñ meñ chaak hai dāman to fikr-e-sozan kyā
jo ban gayā hai garebāñ to be-rafū hī sahī
jo hai sharāb harīfān-e-bāda-paimā ko
hamāre vāste mauzū-e-guftugū hī sahī
agar ḳhayāl meñ ḳhvāboñ kī guuñj baaqī hai
to aañkh khulte hī ġhoġhā-e-hā-o-hū hī sahī
fasāna apne junūñ kā zabāñ zabāñ pe hai aaj
nahīñ jo sahrā-ba-sahrā to kū-ba-kū hī sahī
jafā-e-nāz agar hai babāñg-e-tabl-o-duhal
to dil-dukhoñ kā gilā surma-dar-gulū hī sahī
Top Urdushayar.com