Muzaffar Shikoh

id hai aur saqi-e-nau-KHez maiKHane mein hai

Muzaffar Shikoh

iid hai aur sāqī-e-nau-ḳhez maiḳhāne meñ hai
aaj piine kā maza pī kar bahak jaane meñ hai
kaif-o-mastī jo tirī āñkhoñ ke ḳhum-ḳhāne meñ hai
vo tirī miinā meñ hai saaqī na paimāne meñ hai
hai ġham-e-dīvār us ko aur na fikr-e-pairahan
kyā farāġhat tere dīvāne ko vīrāne meñ hai
gar jalāne meñ jigar kā ḳhuuñ hai lutf-e-intizār
hijr kī lazzat bhī mar mar ke jiye jaane meñ hai
us kī nazreñ bhāñp letī haiñ tujhe har rañg meñ
kis balā kī hoshiyārī tere dīvāne meñ hai
aur uljhāte chale jaate ho mere sub.h-o-shām
jab se tum ko ye shaġhaf gesū ke suljhāne meñ hai
ab balā se ho charāġh-e-dair yā sham-e-haram
qasd jal kar ḳhaak ho jaane kā parvāne meñ hai
Top Urdushayar.com