Muzaffar Shikoh

aaj phir band-o-salasil ka KHayal aaya hai

Muzaffar Shikoh

aaj phir band-o-salāsil kā ḳhayāl aayā hai
zulf-e-pur-pech kā aur dil kā ḳhayāl aayā hai
phir bagūle haiñ ravāñ bahr-e-qadam-bosī-e-shauq
qais ko lailī-e-mahmil kā ḳhayāl aayā hai
phir mah-e-gumbad-e-gardāñ se lagī hai baazī
ham ko apne mah-e-kāmil kā ḳhayāl aayā hai
aaj phir aañkh se Tapkā hai koī qatra-e-ḳhūñ
ba.ad muddat hameñ phir dil kā ḳhayāl aayā hai
kārvāñ shauq kā hai paik-e-nazar se aage
duur se qurbat-e-manzil kā ḳhayāl aayā hai
dil ko us but se hai phir ajr-e-vafā kī ummīd
sa.ī-e-be-sūd meñ hāsil kā ḳhayāl aayā hai
bāñdh kar dashna-o-ḳhanjar jo nikal aa.e ho
aaj kyā phir kisī bismil kā ḳhayāl aayā hai
Top Urdushayar.com