koī to tark-e-marāsim pe vāsta rah jaa.e
vo ham-navā na rahe sūrat-āshnā rah jaa.e
ajab nahīñ ki mirā bojh bhī na mujh se uThe
jahāñ paḌā hai zar-e-jāñ vahīñ paḌā rah jaa.e
maiñ sochtā huuñ mujhe intizār kis kā hai
kivāḌ raat ko ghar kā agar khulā rah jaa.e
kise ḳhabar ki isī farsh-e-sañg par so jā.ūñ
mire makān meñ bistar mirā bichhā rah jaa.e
'zafar' hai behtarī is meñ ki maiñ ḳhamosh rahūñ
khule zabān to izzat kisī kī kyā rah jaa.e