rah-e-ḳhirad meñ jahāñ sar hai dard-e-sar bhī hai
ki gū-magū bhī agar bhī hai aur magar bhī hai
faqīh-e-shahr muazzaz bhī mo'atabar bhī hai
magar marāsim-e-ulfat se be-ḳhabar bhī hai
tirī nazar ki nazar bhī nahīñ nazar bhī hai
jise hamārī ḳhabar bhī nahīñ ḳhabar bhī hai
yahāñ kī qaid se ghabrā rahā hai dīvāna
ki is dayār meñ dīvār bhī hai dar bhī hai
jahān-e-āriz-o-gesū ajiib duniyā hai
ki jis meñ shaam bhī hai saath hī sahar bhī hai
ye dil kī vādī-e-aiman meñ kaun aa utrā
ki jo jamāl-e-nahufta bhī jalva-gar bhī hai
jo raah ahl-e-ḳhirad ke liye hai lā-mahdūd
junūn-e-jazba-e-ulfat meñ muḳhtasar bhī hai