Muzaffar Shikoh

wajh-e-rangini-e-hayat gai

Muzaffar Shikoh

vaj.h-e-rañgīnī-e-hayāt ga.ī
tum ga.e saarī kā.enāt ga.ī
mausam-e-gul hai fasl-e-jāma-darī
ehtiyāj-e-takallufāt ga.ī
jab se lazzat-kash-e-jafā hai dil
hājat-e-chashm-e-iltifāt ga.ī
sub.h tak muntazir rahe anjum
tum na aa.e tamām raat ga.ī
baḌh gayā aur rañg-e-istiġhnā
dard-e-dil kah ke apnī baat ga.ī
un kī āñkhoñ se Dhal paḌe aañsū
māya-e-husn kī zakāt ga.ī
lab-e-naushīn-e-yār kī ḳhātir
dil se shīrīni-e-hayāt ga.ī
āshiqī ke qimār-ḳhāne meñ
jo bhī baazī lagā.ī maat ga.ī
Top Urdushayar.com