Haneef Rahi

teri talash teri justuju utarti hai

Haneef Rahi

Shajapur, Madhya Pradesh, India

1973
tirī talāsh tirī justujū utartī hai
mire shu.ūr ke kāġhaz pe tū utartī hai
sañvārne ke bajā.e sañvarne lagtā hai
jab aa.ine ke muqābil meñ tū utartī hai
tū mere naam se mansūb hai zamāne meñ
tū kuchh kare to mirī aabrū utartī hai
maiñ dil ke paak se ḳhāne meñ us ko rakhtā huuñ
tumhārī yaad bahut bā-vazū utartī hai
maiñ aisā rind-e-balā-nosh mai-kade kā tire
mire liye mai-e-jām-o-subū utartī hai
is liye maiñ miyāna-ravī kā qaa.el huuñ
zavāl se bhī bulandī kī lū utartī hai
tirī sifāt meñ tahlīl ho gayā huuñ maiñ
har ik adā meñ mirī terī ḳhū utartī hai
maiñ tañg-dast kahāñ tak libās pahnā.ūñ
barahna jism ka.ī aarzū utartī hai
ye niiñd jis ko zamāna sukūñ samajhtā hai
hamāre jism pe misl-e-adū utartī hai
ye shā.irī ke anāsir bhī qudratī haiñ janāb
ki fikr-o-fan kī tarañgoñ se bū utartī hai
Top Urdushayar.com