Haneef Rahi

nazar ko qurb-e-shanasai banTne wale

Haneef Rahi

Shajapur, Madhya Pradesh, India

1973
nazar ko qurb-e-shanāsā.ī bāñTne vaale
kabhī to haath aa parchhā.ī bāñTne vaale
akelā-pan dar-o-dīvār se Tapaktā hai
kahāñ ga.e mirī tanhā.ī bāñTne vaale
ye muñh se sūkhe nivāle bhī chhīn lete haiñ
bahut ġharīb haiñ mahñgā.ī bāñTne vaale
hamāre shahr ko terī baḌī zarūrat hai
idhar bhī aa kabhī achchhā.ī bāñTne vaale
kabhī ye soch ke tere bhī apne bachche haiñ
hamārī nasl ko nañgā.ī bāñTne vaale
zamāna kyā huā ab jo nazar nahīñ aate
vafā kī pyaar kī bīnā.ī bāñTne vaale
Top Urdushayar.com