jaage ki koī so.e ham farz nibhā aa.e
ham raat kī galiyoñ maiñ āvāz lagā aa.e
ma.alūm nahīñ ham ko phūloñ meñ chhupā kyā hai
bātoñ se to zālim kī ḳhushbu-e-vafā aa.e
zaḳhmo pe koī marham rakkhe yā namak chhiḌke
ham dard kā afsāna duniyā ko sunā aa.e
uThtī chalī jaatī hai dīvār gunāhoñ kī
kah do ye samundar se sāhil pe chalā aa.e
andāz-e-nazar us kā pāgal na kahīñ kar de
jab us kī taraf dekhūñ āñkhoñ meñ nasha aa.e
yādoñ ke darīchoñ se bachpan kī galī jhoñke
'rāhī' mire āñgan meñ mamtā kī havā aa.e