khulī rakhūñgā maiñ kamre kī khiḌkiyāñ kab tak
idhar se guzregā ḳhushbū kā kārvāñ kab tak
musāfiro pe ye rāsta ho mehrbāñ kab tak
zamīn thak ga.ī pahuñchegā kārvāñ kab tak
libās-o-jism pe gard-e-safar to Thahregī
rakhūñ sambhāl ke muTThī meñ kahkashāñ kab tak
zamīn roz ye mujh se savāl kartī hai
tumhāre sar pe rahegā ye āsmāñ kab tak
sikhā do apne charāġhoñ ko āñdhiy.oñ kī zabāñ
rahoge aise havāoñ se bad-gumāñ kab tak
maiñ band kamre meñ tanhā.ī se jalā huuñ miyāñ
saḌak pe āye.gā us jism kā dhuāñ kab tak
vo niiñd lagne se pahle mujhe jagātā hai
karūñ maiñ apnī thakan ko bhī rā.egāñ kab tak
ye baat sach hai farishta sifat nahīñ huuñ maiñ
baḌhā-chaḌhā ke likheñ merī dāstāñ kab tak