bevafā aise to hargiz na the pahle ham log
ek hī shahr meñ rah kar nahīñ milte ham log
jis tarah jiinā thā aise hī jo jiite ham log
jis tarah marte haiñ aise nahīñ marte ham log
ḳhidmat-e-ḳhalq meñ jis shaḳhs kī guzrī hai hayāt
aise insāñ kī ayādat ko na pahuñche ham log
amn kā qāfila kartā rahā minnat phir bhī
chand lamhoñ ko bhī ḳhāmosh na baiThe ham log
itnā ehsān jatāte haiñ ki mar jaatā hai
kaam aa jaa.eñ jo duniyā meñ kisī ke ham log
toḌ detī hai zarā-bhar meñ charāġhoñ kā ġhurūr
ai havā dekh chuke haiñ tire jalve ham log